Aisa To Nahi Tha Mai...


Ankho Me Neend Nahi,
Chehre Me Chamak Nahi,
Man me Vishwas Nahi...
Aisa To Nahi Tha Mai...Jaisa Ban Gaya Hu.

Har Pal Tumhare Yado me Khoya Rahta hu
Tumhari Bate Socha Karta Hu
Fir Is Dil Me Ek Kashish Si Uthti Hai
Kuch Khamoshi Si Mahsus Hoti Hai
Ek Sunapan Hai Sayad Jo Tumhe Khojti Hai
Aisa To Nahi Tha Mai...Jaisa Ban Gaya Hu.

Har Yad Tumhari Rulati Hai
Mujhko Bechain Kar Jati Hai
Majbur Itna Hu Ki Kuch Kar Nahi Sakta
Tumhare Bina To Mar Bhi Nahi Sakta
Aur Kitna Tadpu Tumhare Intejar Me
Bhul Gaya hu Sab Kuch Tumhare Pyar Me
Aisa to Nahi tha Mai...Jaisa Ban Gaya Hu.


By Ajay Kumar.

Khwab


Raato Ko Neend Nahi Aati Hai
Aankho Se Neend chali Jati Hai
Kho Jate Hai Sare Khwab Aankho Se
Jab Koi Apna Dil Tod Jata Hai.
                                          By Ajay Kumar.

Wish


Chhu Lu Mai Aasman Ke Taro Ko
Dil Me Bas Yahi Tamanna Hai...
Udu Mai Aakash ki Uchaiyon me
Aur Pa Lu Sare Jahan Ko...!!

                                   By Ajay Kumar.

Realize


Kasur Na Unka Tha, Na Hamara Tha
Bas Waqt Aur Halat Hamare Khilaf The
Jo Wo Aaj Kisi Aur Ke Baho Me Hai...
Aur Ham Aaj Bhi Unke Baho Ko Taraste Hai...!!
Fir Bhi Dil Me Ek Ehsas Sa Uthta hai Ki....
Mai To Dur Hokar Bhi
Hamesha Tumhare Pas Hi Tha...
Bas Tumne Aawaj Nahi Di
Aur Maine Hath Nahi Badhaya...!!

                                                    By Ajay Kumar.

desire


Mere Armano Ka Khun Karke
Tu Kisi Aur Ke Sath
Ghar Basane Chali Hai
Ja Tujhe Teri Manjil Mile
Rahe Uske Sath Tu Abse...
Par Meri Tarah
Tu Bhi Uske Pyar Ko Tarse...!!

                                      By Ajay Kumar.

Loneliness and Memories


Fir mere dil me kyo ek aag si lagi hai
Harpal ek ehsas si lagi hai
Jagi hai kyo tanhai ka ye aalam 
Aaya hai fir se kyo yado ka wo mausam
Are usne to hame chhod diya 
Bich rah par muh mod liya
Ye bhi na socha ki 
Hamara kya hoga unke bina...
Kitni tadap...Kitni bechaini liye 
Hoga ab to jeena...
Ham to chale the Tanhai liye Har mode pe 
Par Zindagi se Na Hare...
Kyoki ham to aaj bhi zinda hai 
Unke yado ke sahare...!
                                          
                                         By Ajay Kumar.