Showing posts with label Dard Sayari. Show all posts
Showing posts with label Dard Sayari. Show all posts

नज़रे चुराने की ज़रूरत नहीं


नज़रे चुराने की ज़रूरत नहीं

हम हर रुख की बात जानते हैं

तुम जुबां से कुछ कहो न कहो

हम तुम्हारे दिल की बात जानते हैं ||

Aankhon Se Bhi Barsatein Hongi - Sad Sayari in Hindi

तुम अगर याद रखोगे तो इनायत होगी,
वरना हमको कहाँ तुम से शिकायत होगी,
ये तो बेवफा लोगों की दुनिया है,
तुम अगर भूल भी जाओ तो रिवायत होगी।

तुम नही जानते मेरे दिल पर क्या गुज़रती है
जब तुम पास से कुछ कहे बिना गुज़र जाते हो,
हम तुम्हें नज़रों के सामने भी नज़र नहीं आते
और हमें भीड़ में भी तुम्ही तुम नज़र आते हो

आज हम हैं कल हमारी यादें होंगी,
जब हम ना होंगे तब हमारी बातें होंगी,
कभी पलटोगे जिंदगी के ये पन्ने,
तब शायद आपकी आंखों से भी बरसातें होंगी.

Aanshu Nikal Pade - Dard Sayari in Hindi

इतना तो ज़िंदगी में, न किसी की खलल पड़े,
हँसने से हो सुकून, न रोने से कल पड़े,
मुद्दत के बाद उसने, जो की लुत्फ़ की निगाह,
जी खुश तो हो गया, मगर आँसू निकल पड़े।

कहाँ छिपाऊं खुद से खुद को,
खुद से इतनी शर्मिंदगी हो गई है
मौत का डर यहां किसको है यारों,
यहां मौत से बद्तर जिंदगी हो गई है ।

इस मोहब्बत की किताब के,
बस दो ही सबक याद हुए,
कुछ तुम जैसे आबाद हुए,
कुछ हम जैसे बरबाद हुए।

Ish nazar koh aapka intezaar rehta hai,

Love SMS in Hindi

Ish nazar koh aapka intezaar rehta hai,
Dil aapse milne koh beqaraar rehta hai,
Aap humsey miley yah nah miley,
Phir bhi humhara pyaar barqaraar rehta hai.

Nikalte hain aasoon jab mulaqaat nahi hoti,
Toot jata hai yeh dil jab baat nahi hoti,
Aapki jaan ki kasam ea dost,
Jab aapki yaad nah aaye aisi koi shaam nahin hoti.

Har pal intezaar karta hoon













Har pal intezaar karta hoon,
Ki tumhari aawaaz sun sakoon,
Kuch tumhare dil ki baat,
Kuch apna haal keh sakoon,
Jo kabhi kisi ne kisi ko na kiya ho,
Wo pyaar main tumhe de sakoon…

Dil ki baat jo na aaye zubaa pe,

Gulshan ki baharon me,
In mehki fizzaaon me,
Jab aap humko dhundenge,
To aapki aakhon me nami hogi,
Sab kush hoga aapke paas,
Bas ek hamari hi kami hogi …

Dil ki baat jo na aaye zubaa pe,
wo aankho ke jariye bayan ho jaati hai,
Hume jo mohobbat hain tumse janne man,
Ye paigham khud ba khud bayya kar jaata hai…

Jo hai dil me bata kar to dekho
Chahat ko hoton pe lakar to dekho
Sab kuch mil jayega usi pal
Lekin mohabbat ko ek bar jatakar to dekho. ..

Unn ki yaad aa hi jaati hai,

Hum yaad karein naa karein,
Unn ki yaad aa hi jaati hai,
Yeh kaisi kasak hai mohabbat ki,
Hum par sitam dhhaa hi jaati hai,
Wo naa aaye hain,naa aayenge kabhi,
Phir bhi in nigahon ko unn ka intezaar baki hai,
Zindagi to gayi ab meri unn ke saath,
Par unn ke saath beete palon ka khumaar baaki hai.

Tujhe Chahne Ki Khtaa










Main Lafzon Main Kuch Bhi Izhar Nahi Karta.
Iska Matlab Ye Nahi K Main Tujhe Pyar Nahi Karta.
Chahta Hoon Main Tujhe Aaj Bhi Par.
Teri Soch Mein Apna Waqt Bekar Nahi Karta.
Tamasha Na Ban Jaaye Kahin Mohabbat Meri.
Tere Liye Khuda Se Taqraar Nahi Karti.
Par Kuch To Baat Hai Teri Fitrat Mein Bewafa
Warna Mein Tujhe Chahne Ki Khtaa Bar Bar Nahi Karta..

Wo samjhe na samjhe hamare jazbat ko














Wo samjhe na samjhe hamare jazbat ko
hum manenge unki har baat ko
hum chale jaayenge ek din is duniya ko chodker
wo aasuon bhayege royenge har raat ko.

UDAAS Kerke Kehti Hai...Naraz Toh Nahi Ho Na....


Bas....! Ek yahi Baat Uski Mujhe Achhi Lagti Hai....
UDAAS Kerke Kehta Hai...'Naraz Toh Nahi Ho Na....
Kitna Ajeeb Hai Uska Andaaz Mohabbat Ka....
Roz Rula Ker Kehta Hai....'Apna Khayal Rakhna'..

Aa jao kisi roz tum to tumhari rooh me utar jaun


Aa jao kisi roz tum to tumhari rooh me utar jaun,
Sath rahu main tumhare na kisi or ko nazar aaun,

Chahe bhi to koi chhoo na sake mujhko is tarha se,
Tum kaho to yu tumhari baahon mein bikhar jaun.

Karon jo nichaawar muhabbat mein tumse lipt kar,
Is ada se choom lon tumhain k hadd se guzar jaun.

Ab to lag jao seene se ki meri saans thaam jaye,
Aagosh me lekar apni tumhari saanson me utar jaun.

Koi hume pyar kare aisa koi pyar nahi milta;

Dard Shayari

Koi hume pyar kare aisa koi pyar nahi milta;
Zindagi bhar saat nibhaye aisa koi yaar nahi milta;
Dil mein hai umang kisi se pyar karneki,
Magar koi hume jii bharke pyar kare aisa koi dildar nahi milta!!

Mohabbat

Love SMS in Hindi
Zindagi Ka Raaz Maine Mohabbat Me Pa Liya,
Jiska Bhi Gam Mila Apna Bana Liya,
Sunane Ko Mila Koi Dastaan-e-gam,
To Aaina Samne Rakh Khud Ko Suna Diya…

dil bekraar kiya hai

Hindi Love SMS

Pathar dil se pyaar kiya hai,
Apna dil bekraar kiya hai,
Jisse apni yaadion ka haqdaar kiya hai,
Ussne muje gum se abad kiya hai,
Chen aur karaar lut gaya mera,
Jo jaan kar bhi anjaan hai mujse,
Aye khuda ab to pighlade usse,
Usse pyaar karne ki saaza na de muje,
Pyaar agar ehsas hai, to ye ehsas karade usse…

Dil ka rishta hai hamara

Sad Shayari

Dil ka rishta hai hamara
Dil ke kone mein naam hai tumhara
Har yaad main hai chehra tumhara
Hum saath nahi to kya hua
Zindgai bhar pyar nibhane ka wada hai hamara
Hum aap ko kabhi khoney nahin denge,
Juda hona chaha to bhi hone nahin denge,
Chandni raton mein aye gi meri yaad,
Meri yaad ke woh pal aap ko sone nahin denge. …

Ye intezaar hai kitni sadiyon ka



Ye intezaar hai kitni sadiyon ka,
iska to ab koi andaaza bhi nahi,
kahin woh baahar se hi na laut jaaye,
isiliye mere aashiyaane mein to darwaaza hi nahi…

Teri Tasweer Meri Ankhon Main Basee Kyun Hai


















Teri Tasweer Meri Ankhon Main Basee Kyun Hai,
Jidhar Dekho Bus Udhar Tu Hi Kyun Hai,
Teri Yadoon Se ab wasta Meri Takdeer Hai,
Tujhe Naa Paaker meri Takdeer Roothi Kyun Hai,
Mujh Ko hai Khabar Asaan Nahin Tujhe Haasil Karma
Phir Bhi Yeh Intizaar Yeh Bekarari Kyun Hai…

Jahan Yaad Na Aaye Teri


















Jahan yaad na aaye teri,
Woh tanhaai kis kaam ki.
Bigde rishte na bane,
To khudaai kis kaam ki.
Beshak apni manzil tak jana hai hamein,
Lekin jahaan se apne na dikhein,
Woh Unchaai kis kaam ki!

Aati hai aap ki yaad har dum


















Aati hai aap ki yaad har dum
Par aap nahi aate
Reh jate hai adhure mere khawab
Kyun ki aap unme shamil nahi ho pate
Pura kar do mere khawabo ko
Kyun ki unke bagair hum nahi so pate… <3 <3 <3

Kya kahun kya ho tum ?












Mere liye meri duniya ho tum,
Choo ke jo guzre vo Lamha ho tum,
Maine jo maangi wo dua ho tum,
Kiya maine Wo ehsaas ho tum,
Meri nazar ki talaash ho tum,
Meri zindagi ka karaar ho tum,
Maine jo chaha vo pyar ho tum,
Mere intezaar ki rahat ho tum,
Mere dil ki chahat ho tum,
Tum ho to duniya hai meri,
Kaise kahun ki sirf pyaar nahi,
Jana Meri Jaan Ho Tum…